Saturday, December 8, 2012

My Words...

8 Dec 2012

Arz kiya hai -
" Ye zindagi bhi kitne alag tarah ke rang dikhati hai,
Abhi abhi toh sambhle the, phir se hila diya,
Ye zindagi hamein aur kitna guma-egi,
Ki ab bas ek jagah rukna chahate the hum,
Par phir se chalne pe majboor kar diya,
Ab phir se nayee rah ki talaash mein hain hum,
Itna hausla toh hai hum mein, ki phir se nikal pade hain nayee manzil ko dhoondne,
Hum sirf itni iltija karenge tumse ae zindagi,

Hamein todha aur hausla aur todha aur mazboot irada dena,
Ki hum is baar thak ke kahin haar na jaayein,

Koshish to yehi rahegi, ki manzil tak pahunch jayein,
Ye zindagi bhi..." - HG

Wednesday, November 21, 2012

My Words...

21 Nov 2012

Arz kiya hai -
" Jab subah subah suraj ki kirnein hum par girti hain, toh, kuch yaad aata hai,
Jab thandi hawa hum ko choo jaati hai, toh, kuch yaad aata hai,
Jab shaam mein suraj dalta hai, aur pura aasman uss ke rangon mein gul jaata hai, toh, kuch yaad aata hai,
Jab raat mein chaand chamakta hai, toh, kuch yaad aata hai,
Jab aasman ke saare taare tim timatein hain, toh, kuch yaad aata hai,
Ae dost, tum jahan bhi raho, ye saare ahsaas, tumein bhi kuch yaad dilate hongein,
Bas yehi khwaish hai, iss dil ki, ki hamein kabhi boolna nahin,
Jaise hum kabhi in ahsason ki tarah tumein bhool nahin payenge..." - HG

Wednesday, November 7, 2012

My Words...

7 Nov 2012

Arz kiya hai -
"Kuch salon baad yeh pal yaad aayenge,
Jab hum apne apne jahan mein masroof ho jayenge,
Akele jab bhi honge, sath guzare hue lamhe yaad aayenge,
Paise to bahut honge shayad,
Par kharch karne ke lamhe kam ho jaayenge,
Ek cup coffee doston ki yaad dilayegi,
Fir sochte sochte aankhen nam ho jayengi,
In palon ko mil kar, dil khol kar jeelo yaaron,
Kyuon ki zindagi in palon ko fir nahin dohrayegi !!!..." - HG

Monday, November 5, 2012

My Words...

5 Nov 2012

Arz kiya hai - 

 " Kahi dinon se yeh mahsoos ho raha hai, ki zindagi bhi kitni masroof ho gayee hai is roz marha ki baag daud mein,
Ki jab bhi koi dost door se hi dikhta hai, toh sirf muskra dete hai aur hath se ishara kar dete hain,
Itna waqt hi nahin hai, ki uske saath mil lein,
kyuon ki har kissi ko kahin na kahin pahunchna yaa jana hota hai,
Par hum yein samajhte hain, ki, woh bhi yeh samjhta hoga..." - HG

Wednesday, October 31, 2012

My Words...

31 Oct 2012

Arz kiya hai -
" Kudrat ne do kism ke log banaye hain, ek acchhe aur ek burre,
Aap ki kismat aapko kiss se milati hai, yeh aap nahin jaante,
Par, aap kiss ke saath apna waqt aur zindagi baantna chahate hain,
Yeh toh aap ko hi teh karna hai aur yeh faisla aapko banata hai,
Acchha ya burra insan..." - HG

Thursday, October 25, 2012

My Words...

25 Oct 2012
Arz kiya hai -
" Kya kahen aur kaise kahen, ki, ye dil kya chahta hai...
Hamesha aur har roz kuch na kuch Khwaish jatata rahta hai...
Jaise ki use kuch paana hai har waqt....
Aaj ye chahat hai, toh kal kuch aur chahat thi, aur kal kuch aur chahat hogi...
Iss dil ko samjhana kitna mushkil hota hai kabhi kabhi...
Kash duniya mein, dil ki har khwaish ko hasil karna humare bas mein hota...
Toh ye dil hamesha kehta... Kya Baat Kya Baat Kya Baat..." - HG

My Words...


23 Oct 2012
Arz kiya hai -
" Hum se humare dil aur dimaag bhi kaise kaise khel khelte hain...
Jab dil ki koi baat sunte hai, toh, dimaag kehta hai, arre meri sunoh,
Aur jab dimaag haan kahta hai, toh, dil kehta hai nahin...
Badi mushkil ho jaati hai tab, jab humein kabhi kabhi dono mein kissi ek ko chunnaa padta hai, aur baad mein jab waqt karwat badalta hai...
Tab sochte hain, kaash us waqt ye faisla na liyaa hota, toh, achha hota...
Ae khuda, tujh se yehi iltija hai, humein todhi aur shakti dena us waqt..." - HG


18 Oct 2012
Arz kiya hai -
" Jab hum chote bacche the, toh, jaldi bada hona chahte the,
Jab hum bade hue, toh, sochte hain, kash hum chote bacche hi hote,
Yeh hamari fitrat hai, ki, hum hamesha waqt ki tarah badalte rahte hain,
Ae malik, tu hi bata, ki, hum kab insan banenge aur kab tumahara shukrana manenge..." - HG


17 Oct 2012
Arz kiya hai -
"Ae dost, iss zindagi mein choti choti batein hamein pyar aur khushi deti hai,
Har woh lamha, jo aapko khushi deta hai, usse khul ke jee lo, aur muskra ke kaho,
I am Happy today..." - HG


15 Oct 2012
Arz Kiya Hai -
" Doston se milna aur baat karna acha lagta,
Kash, iss busy and routine life mein, thodha aur waqt milta,
Doston se milne ke liye..." - HG


10 Oct 2012
Arz kiya hai -
" Jab bhi dil kahe, baat kar lo,
Jab bhi yaad aaye, yaad kar lo,
Jab bhi mouka mile, pyar se, pyar kar lo,
Pal, din, hafte, mahine aur saal aise hi guzarte jaayenge,
Yeh jo waqt hai tumahare paas, aaj hai, shayad kal ho na ho..." - HG

Thursday, October 4, 2012

DGM - BD

Dear All,
This is to inform that I left Trent Ltd., as it was really becoming tough to manage the work and family, as the project demands to travel and stay away from family for long duration. The family and in laws needed my support.
I joined SNBAPL - TPF as DGM - BD.
Its a new challenge and new environment, new way of working. I will face it with smile. as always...
I pray God for the better days ahead and hope all goes well...
Cheers...HG.

Wednesday, September 12, 2012

New Challanges

Dear All,
This is to inform that I left Trent Ltd., as it was really hard to cope up with the family's medicinal needs as, there I need to travel and stay away from home for more than 2 weeks some times as per the project site requirements.
Hope rest all is all right with everyone.
Take care and Keep Smiling...