23 Oct 2012
Arz kiya hai -
" Hum se humare dil aur dimaag bhi kaise kaise khel khelte hain...
Jab dil ki koi baat sunte hai, toh, dimaag kehta hai, arre meri sunoh,
Aur jab dimaag haan kahta hai, toh, dil kehta hai nahin...
Badi mushkil ho jaati hai tab, jab humein kabhi kabhi dono mein kissi ek ko chunnaa padta hai, aur baad mein jab waqt karwat badalta hai...
Tab sochte hain, kaash us waqt ye faisla na liyaa hota, toh, achha hota...
Ae khuda, tujh se yehi iltija hai, humein todhi aur shakti dena us waqt..." - HG
18 Oct 2012
Arz kiya hai -
" Jab hum chote bacche the, toh, jaldi bada hona chahte the,
Jab hum bade hue, toh, sochte hain, kash hum chote bacche hi hote,
Yeh hamari fitrat hai, ki, hum hamesha waqt ki tarah badalte rahte hain,
Ae malik, tu hi bata, ki, hum kab insan banenge aur kab tumahara shukrana manenge..." - HG
17 Oct 2012
Arz kiya hai -
"Ae dost, iss zindagi mein choti choti batein hamein pyar aur khushi deti hai,
Har woh lamha, jo aapko khushi deta hai, usse khul ke jee lo, aur muskra ke kaho,
I am Happy today..." - HG
15 Oct 2012
Arz Kiya Hai -
" Doston se milna aur baat karna acha lagta,
Kash, iss busy and routine life mein, thodha aur waqt milta,
Doston se milne ke liye..." - HG
10 Oct 2012
Arz kiya hai -
" Jab bhi dil kahe, baat kar lo,
Jab bhi yaad aaye, yaad kar lo,
Jab bhi mouka mile, pyar se, pyar kar lo,
Pal, din, hafte, mahine aur saal aise hi guzarte jaayenge,
Yeh jo waqt hai tumahare paas, aaj hai, shayad kal ho na ho..." - HG