Wednesday, November 21, 2012

My Words...

21 Nov 2012

Arz kiya hai -
" Jab subah subah suraj ki kirnein hum par girti hain, toh, kuch yaad aata hai,
Jab thandi hawa hum ko choo jaati hai, toh, kuch yaad aata hai,
Jab shaam mein suraj dalta hai, aur pura aasman uss ke rangon mein gul jaata hai, toh, kuch yaad aata hai,
Jab raat mein chaand chamakta hai, toh, kuch yaad aata hai,
Jab aasman ke saare taare tim timatein hain, toh, kuch yaad aata hai,
Ae dost, tum jahan bhi raho, ye saare ahsaas, tumein bhi kuch yaad dilate hongein,
Bas yehi khwaish hai, iss dil ki, ki hamein kabhi boolna nahin,
Jaise hum kabhi in ahsason ki tarah tumein bhool nahin payenge..." - HG

Wednesday, November 7, 2012

My Words...

7 Nov 2012

Arz kiya hai -
"Kuch salon baad yeh pal yaad aayenge,
Jab hum apne apne jahan mein masroof ho jayenge,
Akele jab bhi honge, sath guzare hue lamhe yaad aayenge,
Paise to bahut honge shayad,
Par kharch karne ke lamhe kam ho jaayenge,
Ek cup coffee doston ki yaad dilayegi,
Fir sochte sochte aankhen nam ho jayengi,
In palon ko mil kar, dil khol kar jeelo yaaron,
Kyuon ki zindagi in palon ko fir nahin dohrayegi !!!..." - HG

Monday, November 5, 2012

My Words...

5 Nov 2012

Arz kiya hai - 

 " Kahi dinon se yeh mahsoos ho raha hai, ki zindagi bhi kitni masroof ho gayee hai is roz marha ki baag daud mein,
Ki jab bhi koi dost door se hi dikhta hai, toh sirf muskra dete hai aur hath se ishara kar dete hain,
Itna waqt hi nahin hai, ki uske saath mil lein,
kyuon ki har kissi ko kahin na kahin pahunchna yaa jana hota hai,
Par hum yein samajhte hain, ki, woh bhi yeh samjhta hoga..." - HG